facebook pixel Maa-Baap Alag Dharm Ke, Bachcha Ka Dharma Kaunsa?
  • Home
  • Blog
  • Dharma Kaunsa Chuna Jayega? Jab Maa-Baap Alag Dharmon Se Ho!

Dharma Kaunsa Chuna Jayega? Jab Maa-Baap Alag Dharmon Se Ho!

Dharma Kaunsa Chuna Jayega
Click to rate this post!
[Total: 1 Average: 5]

Mera naam Ridhimma hai, aur main Kanpur se hoon. Hamare mohalle mein kuch mahine pehle ek naya couple shift hua—Manoj Dinkar aur unki biwi Saadhnaa. Lekin yeh uska asli naam nahi hai.

Asal mein, Saadhnaa ka pehla naam Shazia tha. Haan, ek Hindu ladka aur Muslim ladki ki shaadi! Aur yeh shaadi bina drama ke toh ho hi nahi sakti thi—mujhe isliye pata hai kyunki main Shazia ke purane ghar ke bilkul pados mein rehti thi.

Ek din main unke naye ghar unhe mubarakbaad dene gayi. Shazia namaaz padh rahi thi. Namaaz khatam hote hi woh muskura kar meri taraf aayi, chai banayi, aur baat-cheet shuru ho gayi. Dheere-dheere usne apni kahani batani shuru ki.

Shazia ne bataya ki Manoj se woh college mein mili thi, jab Manoj SSC ki taiyari kar raha tha. Pyaar hua, lekin dono taraf se rukaavat thi. Jab Manoj ki sarkari naukri lagi, tab jaake usne apne ghar mein baat uthayi. Shaadi do rasmon mein hui—ek Muslim tareeke se, ek Hindu tareeke se. Par dono taraf se participation aadha adhura tha. Kisi ne khana nahi chhoya, toh kisi ne aankhon mein sukoon nahi dikhaya.

Our Products

Teddy Easy

Teddyy Easy Diaper Pants

BUY NOW
Teddy Easy

Teddyy Easy Tape Diapers

BUY NOW
Teddyy Easy

Teddyy Premium Diaper Pants

BUY NOW

Our Products

Aaj Shazia maa banne wali hai. Par uske man mein ek gehra dar hai—na sirf maa banne ka, balki inter-faith maa banne ka. Jab tak baat do logo ki thi, toh compromises manageable the. Lekin ab jab ek naya jeevan aane wala hai, toh sawaalon ki lambi list hai.

Bachcha mandir jaaye ya masjid? Eid manaye ya Janmashtami? Ramayan sunayein ya Quran? Bachpan mein confusion ho ya identity crisis? Kya society use hamesha ‘do dharmon ke beech ka’ kehkar address karegi?

Shazia kehte kehte ruk gayi. Aankhon mein aansu the. “Mujhe apne liye toh izzat kabhi poori nahi mili… par mere bacche ka kya hoga?”

Achhi baat yeh hai ki Manoj ek accha ladka hai. Har mushkil mein Shazia ke saath khada raha hai. Lekin Shazia ka ek darr hai—abhi tak toh sirf do log the. Jab unka bachcha aayega, tab kya hoga? Kahin aisa na ho ki ek naye mehmaan ke aate hi, rishte badal jaayein. Kya Manoj apne bacche ko kisi ek dharm mein baant dega, ya phir yeh ek naye jeevan ki shuruaat hogi?

Shazia ki kahani sirf uski nahi hai. Aaj kal interfaith relationships common ho gayi hain. Pyaar na jaat dekhta hai, na dharm. Lekin jab baat parvarish ki aati hai, tab decisions asaan nahi hote. Yeh kahani sirf ek couple ki nahi, balki do sanskritiyon ke milne ki hai—jisme pyaar hai, parivaarik rivaazon ka bojh hai, aur ek naye jeevan ki shuruaat ka darr bhi.